Jal raha hoon mien kal nahi parrti kisi pehlu mujhay
Han dabo day ay muhitay aabay ganga ttu mujhay
Sarzamin apni qiyamat ki nifaq angez hay
Wisl kesa, yan tto ik qurbay firaq angez hay
Badlay yak-rangi kay yeh na-aashna-e hay ghazab
Aik hi khirman kay danon mein juda-e hay ghazab
Jis kay pholon mein akhuwwat ki hawa aa-e nahin
Os chaman mein koi lutfay naghma pira-e nahin
Lazzatay qurbay haqiqi par mita jata hoon mien
Ikhtilatay moj-o-sahil say ghabrata hoon mien
Dana-a khirman numa hay shairay mo'jiz biyan
Ho nah khirman hi tto iis danay ki hasti phir kahan
Husn ho kiya khudnuma jab koi ma-il hi nah ho
Shamma ko jalnay say kiya matlab jo mehfil hi nah ho
Zoqay goya-e khmoshi say badalta kyon nahi
Meray aainay say yeh johor nikalta kyon nahi
Kab zuban kholi hamari lazzatay guftar nay!
Phonk dala jab chaman ko aatishay pekar nay
Urdu Poem: Allama Iqbal: Aql-O-Dil
Aql nay ik din yeh dil say kaha
Bhulay bhatkay ki rahnuma hoon mein
Hoon zamin par, guzar falaq pay mira
Dekh tto kis qadar rasa hoon mein
Kaam dunya mein rehbari ha mira
Mislay Khizr khajastah pa hoon mein
Hoon mufassir kitabay hasti ki
Mazharay shanay kibriya hoon mein
Bund ik khon ki hay ttu lekin
Gheratay la'lay bebaha hoon mien
Dil nay sun kar kaha yeh sab sach hay
Par mujhay bhi tto dekh, kiya hoon mein
Razay hasti ko ttu samajhti hay
Oor ankhon say dekhta hoon mein!
Hay tujhay wasta mazahir say
Oor batin say aashna hoon mein
Ilm tujh say tto ma'rifat mujh say
Ttu Khudaju, Khudanuma hoon mein
Shamma ttu mehfilay sidaqat ki
Husn ki bazm ka diya hoon mein
Ttu zaman-o-makan say rishtah bapa
Tairay sidrah aashna hoon mien
Kis bulandi pay hay maqam mira
Arsh Rabbay Jaleel ka hoon mein!
Bhulay bhatkay ki rahnuma hoon mein
Hoon zamin par, guzar falaq pay mira
Dekh tto kis qadar rasa hoon mein
Kaam dunya mein rehbari ha mira
Mislay Khizr khajastah pa hoon mein
Hoon mufassir kitabay hasti ki
Mazharay shanay kibriya hoon mein
Bund ik khon ki hay ttu lekin
Gheratay la'lay bebaha hoon mien
Dil nay sun kar kaha yeh sab sach hay
Par mujhay bhi tto dekh, kiya hoon mein
Razay hasti ko ttu samajhti hay
Oor ankhon say dekhta hoon mein!
Hay tujhay wasta mazahir say
Oor batin say aashna hoon mein
Ilm tujh say tto ma'rifat mujh say
Ttu Khudaju, Khudanuma hoon mein
Shamma ttu mehfilay sidaqat ki
Husn ki bazm ka diya hoon mein
Ttu zaman-o-makan say rishtah bapa
Tairay sidrah aashna hoon mien
Kis bulandi pay hay maqam mira
Arsh Rabbay Jaleel ka hoon mein!
Urdu Poem: Allama Iqbal: Shamma Oor Parwanah
Parwanah tujh say karta hay ay shamma! piyar kyon
Yeh janay beqarar hay tujh par nisar kyon
Simabwar rakhti hay teri ada iisay
Aadabay ishq ttu nay sikha-a hein kiya iisay?
KArta hay yeh tawaf tiri jalwah gah ka
Phonka huwa hay kiya tiri baray nigah ka?
Azaray mot mein iisay aramay jan hay kiya?
Sholay mein teray zindagi-a jawidan hay kiya?
Ghan khana-a jahan mein jo teri ziya nah ho
Iis tufta-a dil ka nakhlay tamanna hara nah ho
Girna tiray huzur mein iis ki namaz hay
Nanhay say dil mein lazzatay soz-o-gudaz hay
Kuch iis mein joshay ashiqay husnay qadim hay
Chota sa tur ttu, yeh zara sa kalim hay
Parwanah, oor zoqay tamasha-a roshni
Kirra zara sa, oor tamanna-a roshni!
Yeh janay beqarar hay tujh par nisar kyon
Simabwar rakhti hay teri ada iisay
Aadabay ishq ttu nay sikha-a hein kiya iisay?
KArta hay yeh tawaf tiri jalwah gah ka
Phonka huwa hay kiya tiri baray nigah ka?
Azaray mot mein iisay aramay jan hay kiya?
Sholay mein teray zindagi-a jawidan hay kiya?
Ghan khana-a jahan mein jo teri ziya nah ho
Iis tufta-a dil ka nakhlay tamanna hara nah ho
Girna tiray huzur mein iis ki namaz hay
Nanhay say dil mein lazzatay soz-o-gudaz hay
Kuch iis mein joshay ashiqay husnay qadim hay
Chota sa tur ttu, yeh zara sa kalim hay
Parwanah, oor zoqay tamasha-a roshni
Kirra zara sa, oor tamanna-a roshni!
Subscribe to:
Posts (Atom)
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.