Urdu Poem: Allama Iqbal: Aftabay Subh

Shorishay mekhanah-a insan say balatar hay ttu
Zainabay bazmay falaq ho jis say woh saghar hay ttu
Ho durray goshay arusay subh woh gohor hay ttu
Jis pay sima-a ofq nazan ho woh zewar hay ttu
Safha-a ayyam say daghay madaday shab mita
Aasman say naqshay batil ki tarha kokab mita

Husn tera jab huwa abamay falq say jalwahgar
Aankh say orrta hay yakdam khawab ki mey ka asar
Nur say ma'mur ho jata hay damanay nazar
Kholti hay chashmay zahir ko ziya teri magar
Dhundti hein jis ko aankhein woh tamasha chahi-ye
Chashmay batin jis say khul ja-a woh jalwa chahi-ye

Shoqay azadi kay dunya mein nah niklay hos-lay
Zindagi bhar qeyd zanjiray ta'alluq mein rahay
Zer-o-bala aik hein teri nigahon kay liye
Aarzu hay kuch iisi chashmay tamasha ki mujhay
Aankh meri oor kay gham mein sar-shaq abad ho
Imtiyazay millat-o-aaien say dil azad ho

Bastah-a rangay khasusiyyat nah ho meri zuban
No-a insan qoom ho meri, watan mera jahan
Didah-a batin pay razay naz-may qudrat ho ayaan
Ho sanasa-a falaq shamma-a takhaiul ka dhuwan
Oqda-a izdaad ki kawish nah tarpa-a mujhay
Husnay ishq angez har shey mein nazar aaye mujhay

Sadmah aa ja-a hawa say gul ki patti ko agar
Ashq ban kar meri aankhon say tapak ja-a asar
Dil mein ho sozay muhabbat ka woh chota sa sharar
Nur say jis kay milay razay haqiqat ki khabar
Shahiday qudrat ka aainah ho, dil mera nah ho
Sar mein juz hamdardi-ye insan koi soda nah ho

Ttu agar rehmat kashay hangamah-a aalam nahin
Yeh fazilat ka nishan ay nai-yaray azam nahin
Apnay husnay aalam aara say jo ttu mehram nahin
Hamsaray yak-zarra-a khakay daray Adam nahin
Nuray masjuday malak garam tamasha hi raha
Oor ttu min-nat paziray subhay farda hi raha

Arzu nuray haqiqat ki hamaray dil mein hay
Laila-ye zoqay-talab ka ghar iisi mehel mein hay
Kis qadar lazzat Kashuday oqda-a mushkil mein hay
Lutf-e-sad hasil hamari sai-ye bay-hasil mein hay
Dard-e-istafham say waqif tira pehlu nahin
Jutuju-a razay qudrat ka shanasa ttu nahin

Urdu Poem: Allama Iqbal: Khafganay Khak Say Istafsar

Mehray roshan chup giya, othi niqabay ru-a sham
Sahna-a hasti pay hay bikhra huwa gay-su-a sham
Yeh siyah-a poshi ki tayyari kisi kay gham mein hay
Mehfilay qudrat magar khurshid kay matam mein hay
Kar raha hay asman jadu labay guftar par
Sahiray shab ki nazar hay dida-a bedar par
Ghotazan darya-a khamoshi mein hay mojay hawa
Han, magar ik dur say aati hay awazay dara
Dil keh hay betabi-ye olfat mein dunya say nafur
Khench laya hay mujhay mujhay hangama-a aalam say dur
Manziray harman nasibbi ka tamasha-e hoon mein
Hannashinay khuftaganay kunjay tanha-e hoon mein

Than zara betabi-ye dil! beth janay day mujhay
Oor iis basti pay char ansu giranay day mujhay
Ay may-a ghaflat kay sarmasto! kahan rehtay ho tum?
Kuch kaho os des ki aakhir, jahan rehtay ho tum
Wh bhi herat khana-a imroz-o-farda hay koi?
Oor pekaray anasir ka tamasha hay koi?
Admi wan bhi hisar-e-gham mein hay mehsur kiya?
Os wilayat mein bhi hay insan ka dil majbur kiya?
Wan bhi jal marta hay sozay shamma par parwanah kiya?
Os chaman mein bhi gul-o-bulbul ka hay afsanah kiya?
Yan tto ik misra mein pehlu say nikal jata hay dil
Sher ki garmi say kiya wan bhi pighal jata hay dil?
Rishta-o-pewand yan kay jan ka aazar hein
Os gulistan mein bhi kiya aysay nukilay khar hein?
Iis jahan mein ik ma-e-shat oor so oftad hay
Ruh kiya os des mein iis firk say aazad hay?
Kiya wahan bijli bhi hay, dehkan bhi hay, khirman bhi hay?
Qafilay walay bhi hein, andesha-a rahzan bhi hay?
Tinkay chuntay hain wahan bhi aashiyan kay wastay?
Khist-o-gil ki fikr hoti hay makan kay wastay?
Wan bhi insan apni asliyat say beganay hein kiya?
Imtiyazay millat-o-aaien kay diwanay hein kiya?
Wan bhi kiya faryaday bulbul par chaman rota nahin?
Iis jahan ki tarha wan bhi darday dil hota nahin?

Bagh hay firdos ya ik manzilay aaram hay?
Ya rukhay beparwah-a husnay azal ka nam hay?
Kiya jahannum masiyyat sozi ki ik tarkib hay?
Aag kay sholon mein pinhan maqsaday tadib hay?
Kiya e-waz raftar kay os des mein parwaz hay?
Mot kehtay hain jisay ehlay zamen, kiya raz hay?
Iztirabay dil ka saman yan ki hast-o-bud hay
Ilm-e-insan os wilayat mein bhi kiya mehdud hay?
Deed say taskin pata hay dilay mehjur bhi?
'lan-tarani' keh rahay hein ya wan kay tur bhi?
Justuju mein hay wahan bhi ruh ko aaram kia?
Wan bhi insan hay qatilay zoqay istifham kiya?
Ah! wo kishwar bhi tariki say kiya mamur hay?
Ya muhabbat ki tajalli say sarapa nur hay?
Tum bata doo, raz jo os gumbaday gardan mein hay
Mot ik chubhta huwa kanta dilay insan mein hay

Urdu Poem: Allama Iqbal: Parinday Ki Faryad

- BACHON KAY LIYE -

Aata hay yad mujh ko guzra huwa zamana
Woh bagh ki baharein woh sab ka chehchahana
Aazadiyan kahan woh abb apnay ghonslay ki
apni khushi say aana, apni khushi say jana
Lagti hay chot dil par, aata hay yad jis dam
Sabnam kay ansuon par kalyon ka muskurana
Woh piyari piyari surat, woh kamni si murat
Aabad jis kay dam say tha mera aashiyana
Aati nahin sadaein os ki miray qafs mein
Hoti miri riha-e ay kash meray bas mein!

Kiya badnasibb hoon mein ghar ko taras raha hoon
Sathi tto hein watan mein, mein qeyd mein parra hoon
Aa-e bahar, kalyan pholon ki hans rahi hein
Mein iis andheray ghar mein qismat ko ro raha hoon
Iis qeyd ka Ilahi! Dukhrra kisay sunaon
Dar hay yahein qafs mein main gham say mar na jaon

Jab say chaman chuta hay, yeh hal ho giya hay
Dil gham ko kha raha hay, gham dil ko kha raha hay
Gana iisay samajh kar khush hon nah sunnay walay
Dukkhay hu-a dilon ki faryad yeh sada hay
Aazad mujh ko kar day, O qeyd karnay walay
Mein bezuban hoon qeydi, ttu chorr kar dua lay

Urdu Poem: Allama Iqbal: Maan Ka Khawab

- BACHON KAY LIYE -

Mein so-e jo ik shab tto dekha yeh khawab
BArrha oor jis say mira iztirab
Yeh dekha keh mein ja rahi hoon kahein
Andherah hay oor rah milti nahi
Larazta tha dar say mira bal bal
Qadam ka tha dehshat say othna muhal
Jo kuch hosla pa kay agay barrhi
Tto dekha qatar aik larkon ki thi
Zamurrad si poshak pehnay hu-a
Diye sab kay hathon mein jaltay hu-a
Woh chup chap thay agay pichay rawan
Khuda janay Jana tha on ko kahan
Iisi soch mein thi keh mera pisar
Mujhay os jamaat mein aya nazar
Woh pechay tha oor tez chalta nah tha
Diya os kay hathon mein jalta nah tha
Kaha mein nay pehchan kar meri jan!
Mujhay chor kar aa ga-a tum kahan?
Juda-e mein rehti hoon mein beqarar
Paroti hoon har roz ashkon kay haar
Nah pawa hamari zara tum nay ki
Gaye chorr, achi wafa tum nay ki!
Jo bachay nay dekha mira pech-o-taab
Diya os nay mon pher kar yoon jawab
Rulati hay tujh ko juda-e miri
Nahi iis mein kuch bhi bhala-e miri
Yeh keh kar woh kuch der tak chp raha
Diya phir dikha kar yeh kehnay laga
Samajhti hay ttu ho giya kiya iisay?
Tiray ansuon nay bujhaya iisay!


This Blog Contains:

English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.


Money, Earn Money, Earn Easy Money, Earn Money Online, Earn Easy Money Online, Earn Money at Home, Earn Easy Money at Home, how to earn money, earn money quick, earn money fast, internet earn money, extra money, earn extra money, earn money from home, earn money now, how earn money, ways to earn money, earn extra money online, make money, earn cash, making money, quick money, fast money, make money from home, make money at home, make money quick, how to make money, make easy money, work from home, earn online, make cash, how make money, internet money, Money, Earn Money, Earn Easy Money, Earn Money Online, Earn Easy Money Online, Earn Money at Home, Earn Easy Money at Home, how to earn money, earn money quick, earn money fast, internet earn money, extra money, earn extra money, earn money from home, earn money now, how earn money, ways to earn money, earn extra money online, make money, earn cash, making money, quick money, fast money, make money from home, make money at home, make money quick, how to make money, make easy money, work from home, earn online, make cash, how make money, and internet money