Mehray roshan chup giya, othi niqabay ru-a sham
Sahna-a hasti pay hay bikhra huwa gay-su-a sham
Yeh siyah-a poshi ki tayyari kisi kay gham mein hay
Mehfilay qudrat magar khurshid kay matam mein hay
Kar raha hay asman jadu labay guftar par
Sahiray shab ki nazar hay dida-a bedar par
Ghotazan darya-a khamoshi mein hay mojay hawa
Han, magar ik dur say aati hay awazay dara
Dil keh hay betabi-ye olfat mein dunya say nafur
Khench laya hay mujhay mujhay hangama-a aalam say dur
Manziray harman nasibbi ka tamasha-e hoon mein
Hannashinay khuftaganay kunjay tanha-e hoon mein
Than zara betabi-ye dil! beth janay day mujhay
Oor iis basti pay char ansu giranay day mujhay
Ay may-a ghaflat kay sarmasto! kahan rehtay ho tum?
Kuch kaho os des ki aakhir, jahan rehtay ho tum
Wh bhi herat khana-a imroz-o-farda hay koi?
Oor pekaray anasir ka tamasha hay koi?
Admi wan bhi hisar-e-gham mein hay mehsur kiya?
Os wilayat mein bhi hay insan ka dil majbur kiya?
Wan bhi jal marta hay sozay shamma par parwanah kiya?
Os chaman mein bhi gul-o-bulbul ka hay afsanah kiya?
Yan tto ik misra mein pehlu say nikal jata hay dil
Sher ki garmi say kiya wan bhi pighal jata hay dil?
Rishta-o-pewand yan kay jan ka aazar hein
Os gulistan mein bhi kiya aysay nukilay khar hein?
Iis jahan mein ik ma-e-shat oor so oftad hay
Ruh kiya os des mein iis firk say aazad hay?
Kiya wahan bijli bhi hay, dehkan bhi hay, khirman bhi hay?
Qafilay walay bhi hein, andesha-a rahzan bhi hay?
Tinkay chuntay hain wahan bhi aashiyan kay wastay?
Khist-o-gil ki fikr hoti hay makan kay wastay?
Wan bhi insan apni asliyat say beganay hein kiya?
Imtiyazay millat-o-aaien kay diwanay hein kiya?
Wan bhi kiya faryaday bulbul par chaman rota nahin?
Iis jahan ki tarha wan bhi darday dil hota nahin?
Bagh hay firdos ya ik manzilay aaram hay?
Ya rukhay beparwah-a husnay azal ka nam hay?
Kiya jahannum masiyyat sozi ki ik tarkib hay?
Aag kay sholon mein pinhan maqsaday tadib hay?
Kiya e-waz raftar kay os des mein parwaz hay?
Mot kehtay hain jisay ehlay zamen, kiya raz hay?
Iztirabay dil ka saman yan ki hast-o-bud hay
Ilm-e-insan os wilayat mein bhi kiya mehdud hay?
Deed say taskin pata hay dilay mehjur bhi?
'lan-tarani' keh rahay hein ya wan kay tur bhi?
Justuju mein hay wahan bhi ruh ko aaram kia?
Wan bhi insan hay qatilay zoqay istifham kiya?
Ah! wo kishwar bhi tariki say kiya mamur hay?
Ya muhabbat ki tajalli say sarapa nur hay?
Tum bata doo, raz jo os gumbaday gardan mein hay
Mot ik chubhta huwa kanta dilay insan mein hay
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.