Urdu Poem: Allama Iqbal: Aik Makrra Oor Makkhi

- BACHON KAY LIYE -

Ik din kisi makkhi say yeh kehnay laga makrra
Iis rah say hota hay guzar roz tumhara
Lekin miri kutya ki nah jagi kabhi qismat
Bhulay say kabhi tum nay yahan paon nah rakha
Ghairon say nah milye tto koi baat nahi hay
Apnon say magar chahiye yoon khinch kay nah rehna
Aa-o jo miray ghar main tto yeh izzat hay meri
Woh samnay sirri hay jo manzor ho aana
Makkhi nay suni baat jo makrray ki tto boli
Hazrat! kisi nadan ko dijyee ga yeh dhoka
Iis jaal mein makkhi kabhi aanay ki nahi hay
Jo aap ki sirri pay charrha, phir nahi ottra

Makrray nay kaha wah! farebi mujhay samjhay
Tum sa koi nadan zamanay mein nah ho ga
Manzor tumhari mujhay khatir thi wagarna
Kuch faidah aapna tto mira iis may nahi tha
Orrti huwi aa-e ho khuda janay kahan say
Thehro jo miray ghar mein tto hay iis mein bura kiya!
Iis ghar mein kai tum ko dikhanay ki hein chizein
Bahir say nazar aati hay choti si yeh kuttiya
Latkay huway darwazon pay barik hein parday
Diwaron ko aainon say hay mein nay sajaya
Mehmanon kay aaran ko hazir hein bichonay
Har shakhs ko saman yeh muyassar nahi hota
Makkhi nay kaha khair, yeh sab theek hay lekin
Mein aap kay ghar aaon, yeh ommid nah rakhna
In naram bichonon say Khuda mujh ko bacha-a
So ja-a koi in pay tto phir oth nahi sakta

Makrray nay kaha dil mein, suni baat jo os ki
Phansun iisay kis tarha, yeh kambakht hay danaa
So kaam khushamad say nikaltay hein jahan mein
Jisay dekho jahan mein khushamad ka hay banda
Yeh soch kay makkhi say kaha os nay barri bee!
Allah nay bakhsha hay barra aap ko rutba
Hoti hay ossay aap ki sorat say muhabbat
Ho jis nay kabhi aik nazar aap ko dekha
Ankhein hain keh hiray ki chamakti huwi kanyan
Sar aap ka Allah nay kalghi say sajaya
Yeh husn, yeh poshak, yeh khubi, yeh safa-e
Phir iis pay qiyamat hay yeh orrtay huway gana
Makkhi nay suni jab yeh khushamad tto pasiji
Boli keh nahi aap say mujh ko koi khatka
Inkar ki aadat ko samajhti hoon bura mein
Sach yeh hay keh dil torrna acha nahi hota
Yeh baat kahi oor orri apni jagha say
Paas aa-e tto makrray nay ochal kar ossay pakrra
Bhuka tha kai roz say, abb hath jo aa-e
Aaram say ghar beth kay makkhi ko orraya

Urdu Poem: Allama Iqbal: Abray Kohsar

Hay bulandi say falaq-boss nasheman mera
Abray kohsar hoon gul pash hay daman mera
Kabhi sehra, kabhi gulzar hay maskan mera
Sheher-o-wiranah mira, beher mira, ban mera
Kisi wadi mein jo manzor ho sona mujh ko
Sabza-a koh hay makhmal ka bichona mujh ko

Mujh ko qudrat nay sikhaya hay durray afshan hona
Naqa-a shahiday rehmat ka hudi-khawan hona
Gham zawa-a dilay afsurn dehkan hona
Ronak bazmay jawananay gulistan hona
Ban kay gay-su rukhay-hasti pay bikhar jata hoon
Shana-a mojah-a sar sar say sanwar jata hoon

Duur say deed-o-ommid ko tarsata hoon
Kisi basti say jo khamoshi say guzar jata hoon
Serr karta howa jis dam labay-ju aata hoon
Baliyan neher ko gardaab ki pehnata hoon
Sabza-a mazra-a nokhez ki ommid hoon mein
Zaak beher hoon, parwarda-a khurshid hon mein

Chashma-a koh ko di shorishay qulzam mein nay
Oor parindon ko kiya mehway-tarannum mein nay
Sar pay sabzay kharay ho kay kaha kum mein nay
Ghuncha-a gul ko diya zoqay tabassum mein nay
Faiz say meray namunay hein shabistanon kay
Jhonpray dam-nay kohsar mein dehkanon kay

Urdu Poem: Allama Iqbal: Mirza Ghalib

Fiqray insan pay tiri hasti say yeh roshan huwa
Hay par murghay takhaiul ki rasai tta-kuja
Tha sarapa ruh ttu, bazmay sukhan pekar tira
Zebay mehfil bhi raha, mehfil say pinhan bhi raha
Deed teri aankh ko os husn ki manzur hay
Ban kay sozay zindagi har shey mein jo mastur hay

Mehfilay hasti tiri barbat say hay sarmayah-daar
Jis tarha naddi kay naghmon say sakutay kohsar
Teray firdosay takhaiul say hay qudrat ki bahar
Teri kishtay fikr say ogtay hein aalam sabzahwar
Zindagi muzmar hay teri shokhiye tehrir mein
Ttabay goya-e hay jumbash hay labay taswir mein

Nutq ko so naz hein teray labay ijaz par
Mehway herat hay thurayya rifatay parwaz par
Shahiday mazmon tasadduq hay tiray andaz par
Khandazan hay ghunch-a dilli gulay shiraz par
Ah! ttu ojray huway dilli main aaramida hay
Gulshanay vimar mein tera ham-nawa khwabida hay

Lutfay goya-e mein teri hamsari mumkin nahi
Ho takhaiul ka na jab tak fikray kamil hamnashin
Haye! ab kiya ho ga-e hindustan ki sarzamin
Ah! aye nazzarah aamuzay nigahay nuqtah been
Gesu-a Urdu abhi minnat paziray shanah hay
Shamma yeh sodai-a dilsozi-a parwanah hay

Ay jahan aabad! ay gehwara-a ilmo hunar
Hein sarapa nala-a khamosh teray bam-o-dar
Zarray zarray mein tiray khawabida hein shams-o-qamar
Yoon tto poshidah hein teri khak mein lakhon gohor
Dafan tujh mein koi fakhray rozgar aysa bhi hay?
Tujh mein pinhan koi moti aab-dar aysa bhi hay?

Urdu Poem: Allama Iqbal: Ehday Tifli

Thay dayyaray-no aasman meray liye
Wus-atay aaghoshay madir ik jahan meray liye
Thi har ik jumbash nishanay lufay jan meray liye
Harfay bay-matlay thi khud meri zuban meray liye
Doray tifli mein agar koi rulata tha mujhay
Sozishay zanjiray dar mein lutf aata tha mujhay

Taktay rehna haye! woh pehron talak so-a qamar
Woh phatay badil mein bay-aawazay pa os ka safar
Puchna reh reh kay os kay koho sehra ki khabar
Oor woh herat daroghay maslihat aamez par
Aankh waqfay deed thi, lab ma-ilay guftar tha
Dil na tha mera, sarapa zoqay iistafsar tha

Urdu Poem: Allama Iqbal: Gulay Rangin

Ttu shanasa-a kharashay oqda-a mushkil nahin
Ay gulay rangin tiray pehlu mein shaid dil nahin
Zebay mehfil hay, sharikay sozishay mehfil nahin
Yeh faraghat bazmay hasti mein mujhay hasil nahin
Iis chaman mein main sarapa sozo sazay aarzu
Oor teri zindagani bay-gudazay aarzu

Ttorr lena shakh say tujh komira aaien nahin
Yeh nazar ghair az nigahay chashmay surat been nahin
Ah! yeh dastay jafaju ay gulay rangin nahin
Kis tarha tujh ko yeh samjhaon keh mein gulchein nahin
Kaam mujh ko dida-a-hikmat kay oljherron say kiya
Dida-a-bulbul say mein karta hon nazzarah tira

So zabanon par bhi khamoshi tujhay manzur hay
Raz woh kiya hay tiray sinay mein jo mastur hay
Meri surat ttu bhi ik bargay riyazay ttur hay
Mein chaman say duur hon, ttu bhi chaman say duur hay
Mutma-in hay ttu, parishan mislay bu rehta hon mein
Zakhmiye shashiray zoqay justuju rehta hon mein

Yeh parishani miri samanay jamiatt nah ho
Yeh jigar-sozi chiraghay khana-a hikmat nah ho
Natt-wani hi miri sarmaya-a quwwat nah ho
Rashqay jamay jam mira aaiena-a herta nah ho
Yeh talashay muttasil shamma-a jahan if-roz hay
tto sanay idrakay insan ko kharam aamoz hay

Urdu Poem: Allama Iqbal: Hamalah

Ay hamalah! Ay fasilay kishwaray Hindustan
Chumta hay teri peshani ko jhuk kar aasman
Tujh mein kuchh peda nahi darinah-rozi kay nishan
Ttu jawan hay gardishay sham-o-seher kay darmiyan
Aik jalwah tha kalimay tturay sina kay liye
Ttu tajalli hay sarapa chashmay bina kay liye

Imtihanay dida-a zahir mein kohistan hay ttu
Pasban apna hay ttu, diwaray hindustan hay ttu
Matla-a awwal falaq jis ka ho woh diwan hay ttu
Su-a khalwat gahay dil-o-aman kushay insan hay ttu
Baraf nay bandhi hay dastaray fazilat teray sar
Khandazan hay jo kulahay mehray aalam taab par

Teri omray raftah ki ik aan hay ehday kuhan
Wadiyon main hain tiri kali ghataien khemahzan
Chotiyan teri thurayya say hain sargarmay sukhan
Ttu zamen par oor pehna-a falaq tera watan
Chashma-a daman tira aaina-a sayyal hay
Damnay mojay hawa jis kay liye rumaal hay

Aabr kay hathon mein rahraway hawa kay wastay
taziyanah day diya barqay taray kohsar nay
Ay Hamalah koi bazigah hay ttu bhi, jisay
Dastay qudrat nay banaya hay anasir kay liye
Ha-a kiya fartay turb main jhumta jata hay aabr
Filay bayzanjir ki surat orr jata hay aabr

Jumbashay mojay nasimay subh gehwarah bani
Jhumti hay nash-sha-a hasti mein har gul ki kali
Yoon zubanay-barg say goya hay os ki khamshi
Dastay gulchein ki jhatak main nau nahi dekhi kabhi
Keh rahi hay meri khamoshi hi afsanah mira
Kunjay khalwat khan-a qudrat hay kashanah mira

Aati hay naddi farazay koh say gati hu-e
Kothr-o-tanim ki mojon ko sharmati hu-e
Aaina sa shahiday qudrat ko dikhlati hu-e
Sangay rah say gah bachti gah takrati hu-e
Cherti ja iis iraqe dilnashin kay saaz ko
Ay musafir dil samajhtah hay titi aawaz ko

Lay-liye shab kholti hay aa kay jab zulfay rasa
Damnay dil khenchti hay aabsharon ki sada
Woh khmoshi sham ki jis par takallum ho fida
Woh darakhton par tafakkur ka saman chaya huwa
Kampta phirta hay kiya rangay shafaq kohsar par
Khusnuma lagta hay yeh ghaza tiray rukhsar par

Ay Hamalah! dastan os waqt ki koi suna
Makanay aaba-a insan jab bana daman tira
Kuch bata os sidhi sadhi zindgi ka majra
Daagh jis par ghaza-a rangay takalluf ka nah tha
Haan dikha day ay tasawwur phir woh subh-o-sham ttu
Dhorr pichay ki taraf ay gardishay aiyyam ttu


This Blog Contains:

English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.


Money, Earn Money, Earn Easy Money, Earn Money Online, Earn Easy Money Online, Earn Money at Home, Earn Easy Money at Home, how to earn money, earn money quick, earn money fast, internet earn money, extra money, earn extra money, earn money from home, earn money now, how earn money, ways to earn money, earn extra money online, make money, earn cash, making money, quick money, fast money, make money from home, make money at home, make money quick, how to make money, make easy money, work from home, earn online, make cash, how make money, internet money, Money, Earn Money, Earn Easy Money, Earn Money Online, Earn Easy Money Online, Earn Money at Home, Earn Easy Money at Home, how to earn money, earn money quick, earn money fast, internet earn money, extra money, earn extra money, earn money from home, earn money now, how earn money, ways to earn money, earn extra money online, make money, earn cash, making money, quick money, fast money, make money from home, make money at home, make money quick, how to make money, make easy money, work from home, earn online, make cash, how make money, and internet money