Dil mira, sozay nihan say, bay-muhaba jal giya
Aatishay khamosh ki manind goya jal giya
Dil mein, zoqay wisl-o-yaday yar tak, baqi nahin
Aag iis ghar mein lagi aysi keh jo tha jal giya
Mein adam say bhi paray hoon, warnah, ghafil! baar-ha
Meri ahay aatshin say, baalay anqa jal giya
Arz keejye johray andeshah ki garmi kahan!
Kuch khiyal aya tha wehshat ka keh sehra jal giya
Dil nahin, tujh ko dikhata warnah daghon ki bahaar
Iis charaghan ka, karon kiya, kar farma jal giya
Mein hoon oor afsurdagi ki aarzu, Ghalib! keh dil
Dekh kar tarzay tapakay ehlay dunya jal giya
Urdu Poem: Mirza Ghalib: Dard Ki Dawa Pai
Kehtay ho "nah dein gay ham, dil ko agar parra paya"
Dil kahan keh gum kachay, ham nay mudd'aa paya
Ishq say, tabi'at nay, zeest ka maza paya
Dard ki dawa pai, dard bay-dawa paya
Dost daray dushman hay, a-tamad dil ma'lum!
Ah bay-asar dekhi, nalah na-rasa paya
Sadgi-o-purkari, bekhudi-o-hoshyari
Husm ko taghaful mein, jurrat-aazma paya
Ghunch phir laga khilnay, aaj ham nay apna dil paya
Khon kiya huwa dekha, gum kiya huwa paya
Hal-e-dil nahi ma'lum, lekin iis qadar, ya'ni
Ham nay baar-ha dhunda, tum nay baar-ha paya
Shoray panday naseh nay zakham par namak chirka
Aap say koi puchay, tum nay kiya maza paya

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Dhampa Kafan Nay Dagh
Juz-qees, oor koi nah aaya, baru-a kar
Sehra magar, ba-tangi chashmay hasuud tha
Aashuftagi nay naqshay sawida kiya durust
Zahir huwa, keh dagh ka sarmayah duud tha
Tha khawab mein, khiyal ko tujh say mu'amlah
Jab aankh khul ga-e, nah ziyan tha nah suud tha
Leta hoon maktab gham-e-dil mein sabaq hanuz
Lekin yahi keh "raft" giya oor "buud" tha
Dhampa kafan nay dagh ayubay barhangi
Mein, warna har libas mein tangay wajuud tha
Teshay baghair mar nah saka kobakan, Asad!
Sargashtah-a Khumaray rasum-o quyuud tha

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Naqsh Faryadi
Naqsh faryadi, hay kis ki shokhi-ye tehrir ka
Kaghzi hay perahan, har pekaray tehrir ka
Ka-o kaway sakht jani haye tanhai nah puch
Subh karna sham ka, lana hay ju-a shir ka
Jazbah, bay-ikhtiyaray shoq dekha chahiye
Sina-a shamshir say bahir, hay dam shamshir ka
Aag-hi, dam-e-shanidan, jis qadar chahay bujha-a
Mudd'aa anqa hay apnay aalmay taqrir ka
Bas keh hoon, Ghalib! asiri mein bhi atish zeray-pa
Mu-a atish didah hay halqah miri zanjir ka

Subscribe to:
Posts (Atom)
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.