Sata-ish gar hay zahid iis qadr, jis baghay rizwan ka
Woh ik guldastah hay ham bekhudon kay taqay nisyan ka
Biyan kiya kijyee bedaday kawish haye muzgan ka
Keh har yak qatrah-a khun, danah hay tasbihay marjan ka
Nah aa-e satutt qatil bhi maney, meray nalon ko
Liya danton mein jo tinka, huwa reshah naystan ka
Dikhaon ga tamasha, di agar fursat zamanay nay
Mira har daghay dil, ik tukham hay sard charaghan ka
Kiya aainah khanay ka woh naqshah, teray jalway nay
Karay jo partaway khurshid, aalam shabnamsatan ka
Miri ta'mir mein muzmir hay ik surat kharabi ki
Hiyola barq khirman ka, hay khunay garam dehkan ka
Oga hay ghar mein ha su sabzah, wirani tamasha kar
Madaar, abb khodnay par ghas kay hay meray darban ka
Khmoshi mein nihan, khun gushtah lakhon aarzuien hein
Chiraghay murdah hoon, mein bezuban, goray ghariban ka
Hanuuz, ik partaway naqshay khiyalay yaar baqi hay
Dilay afsurah, goya, hujrah hay yusaf kay zindan ka
Baghal mein ghair ki, aaj aap sotay hein kahein, warnah
Sabab kiya, khawab mein aa kar tabassum haye pinhan ka
Nahi ma'lum, kis kis ka lahu pani huwa ho ga!
Qiyamat hay, sarshak aaludah hona teri muzgan ka
Nazar mein hay hamari, jadah-a rahey fanah, Ghalib!
Keh yeh shirazah hay aalam kay ajza-a parishan ka
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.