Bazmay jahan mein main bhi hoon ay shamma! dardmand
Faryad dar girah sifatay dana-a sapand
Di ishq nay hararat sozay daron mujhay
Oor gul-faroshay ashqay shafaq-gun kiya mujhay
Ho shamma-a bazmay aysh keh shamma-a mazar ttu
Har hal ashqay gham say rahi hamkinar ttu
yakbeen tiri nazar sifatay aashiqanay raz
Meri nigah maya-a ashobay imtiyaz
Kabay mein, butkaday mein hay yaksan tiri ziya
Mein imtiyazay dir-o-haram mein phansa huwa
Hay shan ah ki tiray duday siyah mein
Poshidah koi dil hay tiri jalwah gah mein
Jalti hay ttu keh barqay tajalli say dur hay
Bedard teray soz ko samjhay keh nur hay
Ttu ja rahi hay oor tujhay kuch khabar nahin
Bina hay oor sozay daron par nazar nahin
Main joshay iztirab say simabwar bhi
Aagahay iztirabay dilay beqarar bhi
Tha yeh bhi koi naz kisi beniyaz ka
Ehsas day diya mujhay apnay gudaz ka
Yeh agahi miri mujhay rakhti hay beqarar
Khawabidah iis sharar mein hein atish kaday hazar
Yeh imtiyazay rif-att-o-pasti iisi say hay
Gul mein mehek, sharab mein masti iisi say hay
bustano bulbulo gulo bu hay yeh agahi
Aslay kashakashay mano-ttu hay yeh agahi
Subh-a azl jo husn huwa dilstanay ishq
Awazay 'kun' hu-e tapash amozay janay ishq
Yeh hukm tha keh gulshanay 'kun' ki bahar dekh
Aik ankh lay kay khawabay parishan hazar dekh
Mujh say khabar nah puch hijabay wajud ki
Shamay firaq Subh thi meri namud ki
Woh di gaye keh qeyd say mein ashna nah tha
Zebay darakhtay tur mira ashiyanah tha
Qeydi hoon oor qafs ko chaman janta hoon mein
Ghurbat kay ghamkaday ko watan janta hoon mein
Yaday watan fasurdagi-ye besabab bani
Shoqay nazar kabhi, kabhi zoqay talab bani
Ay shamma! intiha-a farebay khiyal dekh
Masjuday sakinanay falaq ka ma-all dekh
Mazmun firaq ka hoon, thurayya nishan hoon mein
Ahangay tab-a nazimay kon-o-makan hoon mien
Bandha mujhay jo os nay tto chahi miri namud
Tehrir kar diya saray diwanay hast-o-bud
Gohor ko mustay khak mein rehna pasand hay
Bandish agarcheh sust hay, mazmun buland hay
Chashmay ghalat nigar ka yeh sara qasur hay
Alim zahuray jalwah-a zoqay shaur hay
Yeh silsilah zaman-o-makan ka, kamand hay
Taoqay galu-a husnay tamasha pasand hay
Manzil ka ishtiyaq hay, gum kardah rah hoon
Ay shamma! main asiray farebay nigah hoon
Saiyad aap, halqa-a damay sitam bhi aap
Khulta nahi keh naz hoon mein ya niyaz hoon
Haan, ashna-a lab ho nah razay kuhan kahein
Phir chirr na ja-a qissa-a daru-a rasan kahein
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.