Urdu Poem: Allama Iqbal: Mahay No

Tuut kar kishti hu-e ghirqabay neel
Aik tukra terta phirta hay ru-a aabay neel
Tashtay gardon mein tapakta hay shafaq ka khunay naab
Nishtaray qudrat nay kiya kholi hay fasaday aftab
Charagh nay bali chura li hay arusay sham ki
Neel kay pani mein ya machli hay simay kham ki

Qafilah tira rawan bay-minnatay bang-e-dara
Goshay insan sun nahi sakta tiri awazay-pa
Ghatnay barrnay ka saman aankhon ko dikhlata hay ttu
Hay watan tera kidhar, kis des ko jata hay ttu
Sath ay saiyarah-a thabit numa lay chal mujhay
Kharay hasrat ki khalish rakhti hay abb bay-kal mujhay
Nur ka talib hoon, ghabrata hhon iis basti mein main
Tiflakay simaab-pa hoon maktabay hasti mein main

Urdu Poem: Allama Iqbal: Sai-yad Ki Lohay Turbat

Ay keh tira murghay jan taray nafs mein hay asir
Ay keh teri ruh ka tair qafs mein hay asir
Iis chaman kay naghma-a piraon ki azadi tto dekh
Sheher jo ojrra huw tha, os ki barbadi tto dekh
Fikr rehti thi mujhay jis ki woh mehfil hay yahi
Sabr-o-istaqlal ki kheti ka hasil hay yahi
Sangay turbat hay mira garwidah-a taqrir dekh
Chashmay batin say zara iis loh ki tehrir dekh

Muddaa tera agar dunya mein hay ta'limay deen
Tarkay duna qom ko apni nah sikhlana kahein
Wa ah karna firqah-bandi kay liye apni zuban
Chup kay hay betha huwa hangama-a mehshar yahan
Wisal kay asbaab peda hon tiri tehrir say
Dekh! koi dil nah dukh ja-a tiri taqrir say
Mehfilay no mein purani dastanon ko nah cher
Rang par jo aab nah aaien on afsanon ko nah cher

Ttu agar koi mudabbir hay tto sun meri sada
Hay daleri dastay arbabay siyasat ka asa
Arzay matlab say jhijak jana nahi zeba tujhay
Nek hay agar niyyat teri tto kia parwa tujhay
Bandah-a momin ka dil bim-o-riya say pak hay
Quwwatay farman-rawa kay samnay bay-bak hay
Ho agar hathon mein teray khana-a mo'jiz raqam
Shisha-a dil ho agar tera misalay jamay jam
Sonay walon ko jaga day sher kay i'jaz say
Khirmanay batil jala day shola-a awaz say

Urdu Poem: Allama Iqbal: Gulay Pazmurdah

Kis zuban say ay gulay pazmurdah tujh ko gul kahon
Kis tarah tujh ko tamanna-a bulbul kahon
Thi kahi mojay saba gehwarah-ajinmban tira
Naam tha sehnay gulistan mein gulay khandan tira
Teray ehsan ka sanimay subh ko iqrar tha
Bagh teray dam say goya tabla-a ittar tha

Tujh pay parasata hay shabnam didah-a giryan mira
Hay nihan teri odasi mein dilay wiran mira
Meri barbadi ki hay ik choti si taswir ttu
Khawab meri zindagi thi jis ki hay ta'bir ttu
Hamchunay az nistanay khud hikayat mi kunam
Bashnuwa-a gul! az judai-ha shikayat mi kunam

Urdu Poem: Allama Iqbal: Dard-e-Ishq

Ay dard-e-ishq! hay gohray aab-daar ttu
Namehramon mein dekh nah ho aashkar ttu
Pinhan tahey niqab tiri jalwahgah hay
Zahir parast mehfilay no ki nigah hay
Aai nai hawa chamanay hast-o-buud mein
Ay darday ishq! aab nahi lazzat namuud mein
Han, khudnumaion ki tujhay justuju nah ho
Minnat pazir nala-a bulbul ka ttu nah ho
Khali sharabay isaq say lalay ka jam ho
Pani ki bund girya-a shabnam ka naam ho
Pinhan darunay sinah kahein raz ho tira
Ashqay jigar gudaz nah ghammaz ho tira
Goya zubanay shair rangin biyan nah ho
Aawazay nay mein shikwah-a furqat nihan nah ho
Yeh dor nuqtahchin hay, kahein chup kay beth reh
Jis dil mein ttu makin hay, wahein chup kay beth reh

Ghafil hein tujh say heratay ilm afridah dekh
Joya nahi tiri niggahay na-rasidah dekh
Rehnay day justuju mein khiyalay buland ko
Herat mein chor didah-a hikmat pasand ko
Jis ki bahar ttu ho yeh aysa chaman nahi
Qabil tiri namud kay yeh anjuman nahi
Yeh anjuman hay kushtah-a nazzarah-a majaz
Maqsad tiri nigah ka khalwat sara-a raz
Har dil mey-a khiyal ki masti say chuur hay
Kuch oor aaj kal kay kalimon ka ttur hay

Urdu Poem: Allama Iqbal: Zohod Oor Rindi

Ik molvi sahab ki sunata hoon kahani
Tezi nahi manzur tabiyat ki dikhani
Sohrah tha bohot aap ki sufi manashi ka
Kartay thay adab on ka a'aali-o-adani
Kehtay thay pinhan hay tasawwuf mein shari'at
Jis tarah keh alfaaz mein muzmar hoon ma'ani
Labrez mey-a zohod say thi dil ki surahi
Thi teh mein kahein durday khiyalay hamah dani
Kartay they biyan aap karamaat ka apni
Manzur thi ta'adaad muridon ki barrhani
Muddat say raha kartay thay hamsa-a mein meray
Thi rind say zahid ki mulaqaat purani
Hazrat nay miray aik shanasa say yeh pucha
Iqbal keh hay qumri-ye shamshaday ma'ani
Pabandi-ye ehkamay shari'at mein hay kesa?
Go sher mein hay rashkay kalimay hamadani
Sunta hoon keh kafir nahin hindu ko samajhta
Hay aysa aqidah asaray falsafah dani
Hay os ki tabiyat mein tashai-u' bhi zara sa
Tafzilay Ali ham nay suni os ki zabani
Samjha hay keh hay raag ebadaat mein dakhil
Maqsud hay madh-hab ki magar khak orrani
Kuch 'aar osay husn faroshon say nahi hay
'Aadat yeh hamaray so'ara ki hay purani
Gana jo hay shab ko tto seher ko hay tilawat
Iis ramz kay aab tak nah khulay ham pay ma'ani
Lekin yeh suna apnay muridon say hay mein nay
Bedagh hay manin-day sahar os ki jawani
Majmu'a-a izdad hay, Iqbal nahi hay
Dil daftaray hikmat hay tabiyat khafaqani
Rindi say bhi aagah, shari'at say bhi waqif
Pucho jo tasawwuf ki tto mansur ka thani
Iis shakhs ki tto ham par haqiqat nahi khulti
Ho ga yeh kisi oor hi Islam ka bani
Al-qissah bohot tuul diya wa'az ko apnay
Tta derr rahi aap ki yeh naghz biyani
Iis sheher mein jo baat ho orr jati hay sab mein
Mein nay bhi suni apnay ahib-ba ki zubani
Ik din jo saray rah milay hazratay zahid
Phir chirr ga-e baton mein wohi baat purani
Farmaya, shikayat woh muhabbat kay sabab thi
Tha farz mira rah shari'at ki dikhani
Mein nay yeh kaha ko-e gilah mujh ko nahin hay
Yeh aap ka haq tha zarahay qurbay makani
Kham hay sar-e-taslim mira aap kay aagay
Piri hay tawazo' kay sabab meri jawani
Gar aap ko ma'lum nahi meri haqiqat
Peda nahi kuch iis say qasur-e-hamah dani
Mein khud bhi nahi apni haqiqat ka shanasa
Gehra hay meray behray khiyalat ka pani
Mujh ko bhi tamanna hay keh Iqbal ko dekhun
Ki iis ki juda-e mein bohot ashq fishani
Iqbal bhi "Iqbal" say aagah nahin hay
Kuch iis mein tamaskhar nahin, wallah nahin hay

Urdu Poem: Allama Iqbal: Ishq Oor Moot

Suhani namuday jahan ki gharri thi
Tabassum fashan zindagi ki kali thi
Kahein meher ko taj-e-zar mil raha tha
Ataa chand ko chandni ho rahi thi
Siyyah perahan chand ko day rahay thay
Sitaron ko ta'limay tabandagi thi
Kahin shakhey hasti ko lagtay thay pattay
Kahein zindagi ki kali phutti thi
Farishtay sikhatay thay shabman ko rona
Hansi gul ko pehlay pehel aa rahi thi
Ata dard hota tha shair kay dil ko
Khudi tashnah kaamay mey-a bekhudi thi
Othi awwal awwal ghata kali kali
Koi huur choti ko kholay kharri thi
Zamin ko tha da'wa keh mein aasman hoon
Makan keh raha tha keh mein la-makan hoon

Gharaz iis qadar yeh nazzarah tha piyarah
Keh nazzargi ho sarapa nazara
Malak aazmatay thay parwaz apni
Jabinon say nuray azal aashkara
Farishtah tha ik, ishq tha naam jis ka
Keh thi rehbari os ki sab kah saharah
Farishtah keh putla tha betabiyon ka
Malak ka malak oor paray ka para
Pay-a serr firdos ko ja raha tha
Qaza say mila rah mein woh qadhara
Yeh pucha tira naam kiya, kaam kiya hay
Nahin aankh ko deed teri gawara
Huwa sun kay goya qadha ka farishtah
Ajal hoon, mira kaam hay aashkara
Orrati hoon mein rakhtay hasti kay purzay
Bujhati hoon mein zindagi ka sharara
Miri aankh mein jadu-a nessti hay
Piyamay fana hay iisi ka ishara
Magar aik hasti hay dunya mein aysi
Woh aatish hay mein samnay os kay para
Sharar ban kay rehti hay insan kay dil mein
Woh hay nuray mutliq ki aankhon ka tara
Tapakti hay aankhon say ban ban kay aansu
Woh aansu keh ho jis ki talkhi gwara
Suni ishq nay guftagu jab qadha ki
Hansi os kay lab pay hu-e aashkara
Giri os tabassum ki bijli ajal par
Andheray ka ho nur mein kiya guzara
Baqa ko jo dekha fana ho ga-e woh
Qadha thi, shikaray qadha ho ga-e woh

Urdu Poem: Allama Iqbal: Piyam-E-Subh

Ojalah jab huwa rukhsat jabinay shab ki afshan ka
Zasimay zindagi pegham la-e Subhay khandan ka
Jagaya bulbulay rangin nawa ko aashiyanay mein
Kinaray kheyt kay shanah hilaya os nay dehkan ka
Talisamay zulmatay shab Surah-a wan-nur say torra
Andheray mein orraya taj-e-zar shamma-e-shabistan ka
Parrha khawabidganay deer par afsunay bedari
Brehman ko diya pegham khurshiday durashkhan ka
Hu-e bamay haram par aa kay yoon goya muazzan say
Nahi khatka tiray dil mein namuday mehray taban ka?
Pukari iis tarah diwaray gulshan par kharray ho kar
Chatak O ghuncha-a gul! ttu muazzan hay gulistan ka
Su-a goray ghariban jab ga-e zindon ki basti say
Tto yoon boli nazzarah dekh kar shehray khamoshan ka
Abhi aaram say laytay raho, mein phir bhi aaoon gi
Sula doon gi jahan ko, khawab say tum ko jagaon gi


This Blog Contains:

English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.


Money, Earn Money, Earn Easy Money, Earn Money Online, Earn Easy Money Online, Earn Money at Home, Earn Easy Money at Home, how to earn money, earn money quick, earn money fast, internet earn money, extra money, earn extra money, earn money from home, earn money now, how earn money, ways to earn money, earn extra money online, make money, earn cash, making money, quick money, fast money, make money from home, make money at home, make money quick, how to make money, make easy money, work from home, earn online, make cash, how make money, internet money, Money, Earn Money, Earn Easy Money, Earn Money Online, Earn Easy Money Online, Earn Money at Home, Earn Easy Money at Home, how to earn money, earn money quick, earn money fast, internet earn money, extra money, earn extra money, earn money from home, earn money now, how earn money, ways to earn money, earn extra money online, make money, earn cash, making money, quick money, fast money, make money from home, make money at home, make money quick, how to make money, make easy money, work from home, earn online, make cash, how make money, and internet money