Ik molvi sahab ki sunata hoon kahani
Tezi nahi manzur tabiyat ki dikhani
Sohrah tha bohot aap ki sufi manashi ka
Kartay thay adab on ka a'aali-o-adani
Kehtay thay pinhan hay tasawwuf mein shari'at
Jis tarah keh alfaaz mein muzmar hoon ma'ani
Labrez mey-a zohod say thi dil ki surahi
Thi teh mein kahein durday khiyalay hamah dani
Kartay they biyan aap karamaat ka apni
Manzur thi ta'adaad muridon ki barrhani
Muddat say raha kartay thay hamsa-a mein meray
Thi rind say zahid ki mulaqaat purani
Hazrat nay miray aik shanasa say yeh pucha
Iqbal keh hay qumri-ye shamshaday ma'ani
Pabandi-ye ehkamay shari'at mein hay kesa?
Go sher mein hay rashkay kalimay hamadani
Sunta hoon keh kafir nahin hindu ko samajhta
Hay aysa aqidah asaray falsafah dani
Hay os ki tabiyat mein tashai-u' bhi zara sa
Tafzilay Ali ham nay suni os ki zabani
Samjha hay keh hay raag ebadaat mein dakhil
Maqsud hay madh-hab ki magar khak orrani
Kuch 'aar osay husn faroshon say nahi hay
'Aadat yeh hamaray so'ara ki hay purani
Gana jo hay shab ko tto seher ko hay tilawat
Iis ramz kay aab tak nah khulay ham pay ma'ani
Lekin yeh suna apnay muridon say hay mein nay
Bedagh hay manin-day sahar os ki jawani
Majmu'a-a izdad hay, Iqbal nahi hay
Dil daftaray hikmat hay tabiyat khafaqani
Rindi say bhi aagah, shari'at say bhi waqif
Pucho jo tasawwuf ki tto mansur ka thani
Iis shakhs ki tto ham par haqiqat nahi khulti
Ho ga yeh kisi oor hi Islam ka bani
Al-qissah bohot tuul diya wa'az ko apnay
Tta derr rahi aap ki yeh naghz biyani
Iis sheher mein jo baat ho orr jati hay sab mein
Mein nay bhi suni apnay ahib-ba ki zubani
Ik din jo saray rah milay hazratay zahid
Phir chirr ga-e baton mein wohi baat purani
Farmaya, shikayat woh muhabbat kay sabab thi
Tha farz mira rah shari'at ki dikhani
Mein nay yeh kaha ko-e gilah mujh ko nahin hay
Yeh aap ka haq tha zarahay qurbay makani
Kham hay sar-e-taslim mira aap kay aagay
Piri hay tawazo' kay sabab meri jawani
Gar aap ko ma'lum nahi meri haqiqat
Peda nahi kuch iis say qasur-e-hamah dani
Mein khud bhi nahi apni haqiqat ka shanasa
Gehra hay meray behray khiyalat ka pani
Mujh ko bhi tamanna hay keh Iqbal ko dekhun
Ki iis ki juda-e mein bohot ashq fishani
Iqbal bhi "Iqbal" say aagah nahin hay
Kuch iis mein tamaskhar nahin, wallah nahin hay
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.