Suhani namuday jahan ki gharri thi
Tabassum fashan zindagi ki kali thi
Kahein meher ko taj-e-zar mil raha tha
Ataa chand ko chandni ho rahi thi
Siyyah perahan chand ko day rahay thay
Sitaron ko ta'limay tabandagi thi
Kahin shakhey hasti ko lagtay thay pattay
Kahein zindagi ki kali phutti thi
Farishtay sikhatay thay shabman ko rona
Hansi gul ko pehlay pehel aa rahi thi
Ata dard hota tha shair kay dil ko
Khudi tashnah kaamay mey-a bekhudi thi
Othi awwal awwal ghata kali kali
Koi huur choti ko kholay kharri thi
Zamin ko tha da'wa keh mein aasman hoon
Makan keh raha tha keh mein la-makan hoon
Gharaz iis qadar yeh nazzarah tha piyarah
Keh nazzargi ho sarapa nazara
Malak aazmatay thay parwaz apni
Jabinon say nuray azal aashkara
Farishtah tha ik, ishq tha naam jis ka
Keh thi rehbari os ki sab kah saharah
Farishtah keh putla tha betabiyon ka
Malak ka malak oor paray ka para
Pay-a serr firdos ko ja raha tha
Qaza say mila rah mein woh qadhara
Yeh pucha tira naam kiya, kaam kiya hay
Nahin aankh ko deed teri gawara
Huwa sun kay goya qadha ka farishtah
Ajal hoon, mira kaam hay aashkara
Orrati hoon mein rakhtay hasti kay purzay
Bujhati hoon mein zindagi ka sharara
Miri aankh mein jadu-a nessti hay
Piyamay fana hay iisi ka ishara
Magar aik hasti hay dunya mein aysi
Woh aatish hay mein samnay os kay para
Sharar ban kay rehti hay insan kay dil mein
Woh hay nuray mutliq ki aankhon ka tara
Tapakti hay aankhon say ban ban kay aansu
Woh aansu keh ho jis ki talkhi gwara
Suni ishq nay guftagu jab qadha ki
Hansi os kay lab pay hu-e aashkara
Giri os tabassum ki bijli ajal par
Andheray ka ho nur mein kiya guzara
Baqa ko jo dekha fana ho ga-e woh
Qadha thi, shikaray qadha ho ga-e woh
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.