Urdu Poem: Mirza Ghalib: Mein Khumyazah Hoon Sahil Ka

Sarapa rehenay ishq-o-naguziray olfatay hasti
Ebadat barq ki karta hoon oor afsos hasil ka
Baqarday zarf hay saqi! khumaray tashnah kami bhi
Jo ttu darya-a mey hay, tto mein khumyazah hoon sahil ka

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Muhabbat Thi Chaman Say

Nah ho ga, yah biyaban mandgi say, zoq kam mera
Hababay mojah-a raftar, hay naqshay qadam mera
Muhabbat thi chaman say, lekin abb yeh bedimaghi hay
keh mohay bu-a gul say, naak mein aata hay dam mera

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Mubarik-baad Asad!

Jirahat tohfah, almaas armaghan, daghay jigar had-yah
Mubarik-baad Asad! gham-khawar janay dardmand aaya

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Baghal Mein Ghair Ki

Sata-ish gar hay zahid iis qadr, jis baghay rizwan ka
Woh ik guldastah hay ham bekhudon kay taqay nisyan ka
Biyan kiya kijyee bedaday kawish haye muzgan ka
Keh har yak qatrah-a khun, danah hay tasbihay marjan ka
Nah aa-e satutt qatil bhi maney, meray nalon ko
Liya danton mein jo tinka, huwa reshah naystan ka
Dikhaon ga tamasha, di agar fursat zamanay nay
Mira har daghay dil, ik tukham hay sard charaghan ka
Kiya aainah khanay ka woh naqshah, teray jalway nay
Karay jo partaway khurshid, aalam shabnamsatan ka
Miri ta'mir mein muzmir hay ik surat kharabi ki
Hiyola barq khirman ka, hay khunay garam dehkan ka
Oga hay ghar mein ha su sabzah, wirani tamasha kar
Madaar, abb khodnay par ghas kay hay meray darban ka
Khmoshi mein nihan, khun gushtah lakhon aarzuien hein
Chiraghay murdah hoon, mein bezuban, goray ghariban ka
Hanuuz, ik partaway naqshay khiyalay yaar baqi hay
Dilay afsurah, goya, hujrah hay yusaf kay zindan ka
Baghal mein ghair ki, aaj aap sotay hein kahein, warnah
Sabab kiya, khawab mein aa kar tabassum haye pinhan ka
Nahi ma'lum, kis kis ka lahu pani huwa ho ga!
Qiyamat hay, sarshak aaludah hona teri muzgan ka
Nazar mein hay hamari, jadah-a rahey fanah, Ghalib!
Keh yeh shirazah hay aalam kay ajza-a parishan ka

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Ham Nay Chaha Tha Keh Mar Jaein

Shumar sabhah marghubay butay mushkil pasand aaya
Tamasha-a bayak kaff bardanay sadd dil pasand aaya
bah faizay bay-dili, nomidi-ye jawaid asan hay
Kushaish ko hamara oqda-a mushkil pasand aaya
Hawa-a seray gul, aaina-a bay-mehi-ye qatil
Keh andazay bakhun ghaltidanay bismil pasand aaya
Deher mein, naqshay wafa, wajahay tasalli nah huwa
Hay yeh woh lafz keh sharminah-a ma'ni nah huwa
Sabza-a khatt say, tira kakilay sarkash nah daba
Yeh zamurrad bhi harifay dam af-e nah huwa
Mein nay chaha tha keh andohay wafa say chuton
Woh sitamgar miray marnay peh bhi razi nah huwa
Dil guzargahay khiyalay mey-o-saghar hi sahi
Gar nafs jadah-a sar manzilay taqwa nah huwa
Hon tiray wadah nah karnay mein bhi razi keh kabhi
Gosh minnat kashay galbangay tasalli nah huwa
Kis say mehrumi-ye qismat ki shikayat kijyee
Ham nay chaha tha keh mar jaein, so woh bhi nah huwa
Mar giya sadmah-a yak jumbishay lab say Ghalib
Natawani say, harifay damay eesa nah huwa

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Ajab Azad Mard Tha

Dhamki mein mar giya, jo nah babay nabard tha
Ishqay nabard peshah, talabgaray mard tha
Tha zindagi mein marg ka khatka laga huwa
Orrnay say peshtar bhi mira rang zard tha
Talifay nuskhah haye wafa kar raha tha mein
Majmuah-a khiyal abhi fard fard tha
Dilay ta-jigar keh sahilay darya-a khun hay abb
Iis rahguzar mein jalwah-a gul aagay gard tha
Jati hay koi kashmakash andohay ishq ki!
Dil bhi agar giya, tto wohi dil ka dard tha
Ehbaab charah sazi-ye wehshat nah kar sakay
Zandan mein bhi khiyal, biyaban noward tha
Yeh lashay bay-kafan, Asaday khastah jan ki hay
Haqq maghfarat karay, Ajab azad mard tha

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Yeh Kaam Bhi Asan Nikla

Shoq, har rang, raqibay sarosaman nikla
qees, tasweer kay parday mein bhi, oryan nikla
Zakham nay daad nah di tangi-ye dil ki, YaRabb!
Tir bhi sinah-a bismil say par afshan nikla
Bu-a gul, nalah-a dil, duuday charaghay mefil
Jo tiri bazm say nikla, so parishan nikla
Dilay hasrat-zadah, tha maidah-a lazzatay dil
Kaam yaron ka, baqadray lab-o-dandan nikla
Hay no-amozay fanah, himmatay dushwar pasand
Sakh mushkil hay keh yeh kaam bhi asan nikla
Dil mein phir giryah nay shor othaya Ghalib!
Ah! jo qatrah nah nikla tha, ttufan nikla

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Aag Iis Ghar Mein Lagi Aysi

Dil mira, sozay nihan say, bay-muhaba jal giya
Aatishay khamosh ki manind goya jal giya
Dil mein, zoqay wisl-o-yaday yar tak, baqi nahin
Aag iis ghar mein lagi aysi keh jo tha jal giya
Mein adam say bhi paray hoon, warnah, ghafil! baar-ha
Meri ahay aatshin say, baalay anqa jal giya
Arz keejye johray andeshah ki garmi kahan!
Kuch khiyal aya tha wehshat ka keh sehra jal giya
Dil nahin, tujh ko dikhata warnah daghon ki bahaar
Iis charaghan ka, karon kiya, kar farma jal giya
Mein hoon oor afsurdagi ki aarzu, Ghalib! keh dil
Dekh kar tarzay tapakay ehlay dunya jal giya

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Dard Ki Dawa Pai

Kehtay ho "nah dein gay ham, dil ko agar parra paya"
Dil kahan keh gum kachay, ham nay mudd'aa paya
Ishq say, tabi'at nay, zeest ka maza paya
Dard ki dawa pai, dard bay-dawa paya
Dost daray dushman hay, a-tamad dil ma'lum!
Ah bay-asar dekhi, nalah na-rasa paya
Sadgi-o-purkari, bekhudi-o-hoshyari
Husm ko taghaful mein, jurrat-aazma paya
Ghunch phir laga khilnay, aaj ham nay apna dil paya
Khon kiya huwa dekha, gum kiya huwa paya
Hal-e-dil nahi ma'lum, lekin iis qadar, ya'ni
Ham nay baar-ha dhunda, tum nay baar-ha paya
Shoray panday naseh nay zakham par namak chirka
Aap say koi puchay, tum nay kiya maza paya

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Dhampa Kafan Nay Dagh

Juz-qees, oor koi nah aaya, baru-a kar
Sehra magar, ba-tangi chashmay hasuud tha
Aashuftagi nay naqshay sawida kiya durust
Zahir huwa, keh dagh ka sarmayah duud tha
Tha khawab mein, khiyal ko tujh say mu'amlah
Jab aankh khul ga-e, nah ziyan tha nah suud tha
Leta hoon maktab gham-e-dil mein sabaq hanuz
Lekin yahi keh "raft" giya oor "buud" tha
Dhampa kafan nay dagh ayubay barhangi
Mein, warna har libas mein tangay wajuud tha
Teshay baghair mar nah saka kobakan, Asad!
Sargashtah-a Khumaray rasum-o quyuud tha

Urdu Poem: Mirza Ghalib: Naqsh Faryadi

Naqsh faryadi, hay kis ki shokhi-ye tehrir ka
Kaghzi hay perahan, har pekaray tehrir ka
Ka-o kaway sakht jani haye tanhai nah puch
Subh karna sham ka, lana hay ju-a shir ka
Jazbah, bay-ikhtiyaray shoq dekha chahiye
Sina-a shamshir say bahir, hay dam shamshir ka
Aag-hi, dam-e-shanidan, jis qadar chahay bujha-a
Mudd'aa anqa hay apnay aalmay taqrir ka
Bas keh hoon, Ghalib! asiri mein bhi atish zeray-pa
Mu-a atish didah hay halqah miri zanjir ka


This Blog Contains:

English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.


Money, Earn Money, Earn Easy Money, Earn Money Online, Earn Easy Money Online, Earn Money at Home, Earn Easy Money at Home, how to earn money, earn money quick, earn money fast, internet earn money, extra money, earn extra money, earn money from home, earn money now, how earn money, ways to earn money, earn extra money online, make money, earn cash, making money, quick money, fast money, make money from home, make money at home, make money quick, how to make money, make easy money, work from home, earn online, make cash, how make money, internet money, Money, Earn Money, Earn Easy Money, Earn Money Online, Earn Easy Money Online, Earn Money at Home, Earn Easy Money at Home, how to earn money, earn money quick, earn money fast, internet earn money, extra money, earn extra money, earn money from home, earn money now, how earn money, ways to earn money, earn extra money online, make money, earn cash, making money, quick money, fast money, make money from home, make money at home, make money quick, how to make money, make easy money, work from home, earn online, make cash, how make money, and internet money