Ik molvi sahab ki sunata hoon kahani
Tezi nahi manzur tabiyat ki dikhani
Sohrah tha bohot aap ki sufi manashi ka
Kartay thay adab on ka a'aali-o-adani
Kehtay thay pinhan hay tasawwuf mein shari'at
Jis tarah keh alfaaz mein muzmar hoon ma'ani
Labrez mey-a zohod say thi dil ki surahi
Thi teh mein kahein durday khiyalay hamah dani
Kartay they biyan aap karamaat ka apni
Manzur thi ta'adaad muridon ki barrhani
Muddat say raha kartay thay hamsa-a mein meray
Thi rind say zahid ki mulaqaat purani
Hazrat nay miray aik shanasa say yeh pucha
Iqbal keh hay qumri-ye shamshaday ma'ani
Pabandi-ye ehkamay shari'at mein hay kesa?
Go sher mein hay rashkay kalimay hamadani
Sunta hoon keh kafir nahin hindu ko samajhta
Hay aysa aqidah asaray falsafah dani
Hay os ki tabiyat mein tashai-u' bhi zara sa
Tafzilay Ali ham nay suni os ki zabani
Samjha hay keh hay raag ebadaat mein dakhil
Maqsud hay madh-hab ki magar khak orrani
Kuch 'aar osay husn faroshon say nahi hay
'Aadat yeh hamaray so'ara ki hay purani
Gana jo hay shab ko tto seher ko hay tilawat
Iis ramz kay aab tak nah khulay ham pay ma'ani
Lekin yeh suna apnay muridon say hay mein nay
Bedagh hay manin-day sahar os ki jawani
Majmu'a-a izdad hay, Iqbal nahi hay
Dil daftaray hikmat hay tabiyat khafaqani
Rindi say bhi aagah, shari'at say bhi waqif
Pucho jo tasawwuf ki tto mansur ka thani
Iis shakhs ki tto ham par haqiqat nahi khulti
Ho ga yeh kisi oor hi Islam ka bani
Al-qissah bohot tuul diya wa'az ko apnay
Tta derr rahi aap ki yeh naghz biyani
Iis sheher mein jo baat ho orr jati hay sab mein
Mein nay bhi suni apnay ahib-ba ki zubani
Ik din jo saray rah milay hazratay zahid
Phir chirr ga-e baton mein wohi baat purani
Farmaya, shikayat woh muhabbat kay sabab thi
Tha farz mira rah shari'at ki dikhani
Mein nay yeh kaha ko-e gilah mujh ko nahin hay
Yeh aap ka haq tha zarahay qurbay makani
Kham hay sar-e-taslim mira aap kay aagay
Piri hay tawazo' kay sabab meri jawani
Gar aap ko ma'lum nahi meri haqiqat
Peda nahi kuch iis say qasur-e-hamah dani
Mein khud bhi nahi apni haqiqat ka shanasa
Gehra hay meray behray khiyalat ka pani
Mujh ko bhi tamanna hay keh Iqbal ko dekhun
Ki iis ki juda-e mein bohot ashq fishani
Iqbal bhi "Iqbal" say aagah nahin hay
Kuch iis mein tamaskhar nahin, wallah nahin hay
Urdu Poem: Allama Iqbal: Ishq Oor Moot
Suhani namuday jahan ki gharri thi
Tabassum fashan zindagi ki kali thi
Kahein meher ko taj-e-zar mil raha tha
Ataa chand ko chandni ho rahi thi
Siyyah perahan chand ko day rahay thay
Sitaron ko ta'limay tabandagi thi
Kahin shakhey hasti ko lagtay thay pattay
Kahein zindagi ki kali phutti thi
Farishtay sikhatay thay shabman ko rona
Hansi gul ko pehlay pehel aa rahi thi
Ata dard hota tha shair kay dil ko
Khudi tashnah kaamay mey-a bekhudi thi
Othi awwal awwal ghata kali kali
Koi huur choti ko kholay kharri thi
Zamin ko tha da'wa keh mein aasman hoon
Makan keh raha tha keh mein la-makan hoon
Gharaz iis qadar yeh nazzarah tha piyarah
Keh nazzargi ho sarapa nazara
Malak aazmatay thay parwaz apni
Jabinon say nuray azal aashkara
Farishtah tha ik, ishq tha naam jis ka
Keh thi rehbari os ki sab kah saharah
Farishtah keh putla tha betabiyon ka
Malak ka malak oor paray ka para
Pay-a serr firdos ko ja raha tha
Qaza say mila rah mein woh qadhara
Yeh pucha tira naam kiya, kaam kiya hay
Nahin aankh ko deed teri gawara
Huwa sun kay goya qadha ka farishtah
Ajal hoon, mira kaam hay aashkara
Orrati hoon mein rakhtay hasti kay purzay
Bujhati hoon mein zindagi ka sharara
Miri aankh mein jadu-a nessti hay
Piyamay fana hay iisi ka ishara
Magar aik hasti hay dunya mein aysi
Woh aatish hay mein samnay os kay para
Sharar ban kay rehti hay insan kay dil mein
Woh hay nuray mutliq ki aankhon ka tara
Tapakti hay aankhon say ban ban kay aansu
Woh aansu keh ho jis ki talkhi gwara
Suni ishq nay guftagu jab qadha ki
Hansi os kay lab pay hu-e aashkara
Giri os tabassum ki bijli ajal par
Andheray ka ho nur mein kiya guzara
Baqa ko jo dekha fana ho ga-e woh
Qadha thi, shikaray qadha ho ga-e woh

Urdu Poem: Allama Iqbal: Piyam-E-Subh
Ojalah jab huwa rukhsat jabinay shab ki afshan ka
Zasimay zindagi pegham la-e Subhay khandan ka
Jagaya bulbulay rangin nawa ko aashiyanay mein
Kinaray kheyt kay shanah hilaya os nay dehkan ka
Talisamay zulmatay shab Surah-a wan-nur say torra
Andheray mein orraya taj-e-zar shamma-e-shabistan ka
Parrha khawabidganay deer par afsunay bedari
Brehman ko diya pegham khurshiday durashkhan ka
Hu-e bamay haram par aa kay yoon goya muazzan say
Nahi khatka tiray dil mein namuday mehray taban ka?
Pukari iis tarah diwaray gulshan par kharray ho kar
Chatak O ghuncha-a gul! ttu muazzan hay gulistan ka
Su-a goray ghariban jab ga-e zindon ki basti say
Tto yoon boli nazzarah dekh kar shehray khamoshan ka
Abhi aaram say laytay raho, mein phir bhi aaoon gi
Sula doon gi jahan ko, khawab say tum ko jagaon gi

Urdu Poem: Allama Iqbal: Insan Oor Bazmay Qudrat
Subh khurshiday durakhshan ko jo dekha mein nay
Bazmay ma'mura-a hasti say yeh pucha mein nay
Partaway meher kay dam say hay ojala tera
Simay saiyaal hay pani tiray daryaon ka
Meher nay nur ka zewar tujhay pehnaya hay
Teri mehfil ko iisi shamma nay chamkaya hay
Gul-o-gulzar tiray khuld ki taswirein hein
Yeh sabhi sura-a wash-shams ki ki tafsirein hein
Surkh pochak hay phulon ki, darakhton ki hari
Teri mehfil mein koi sabz, koi lal pari
Hay tiray khema-a gardun ki tila-e jhalar
Badliyan lal si aati hein jo ofq par nazar
Kiya bhali lagti hay aankhon ko shafaq ki lali
mey-a gulrang khumay sham mein ttu nay dali
Rutbah tera hay barra, shan barri hay teri
Pardah-a nur mein mastur hay har shey teri
Subh ik geet sarapa hay tiri satuut ka
Zeray khurshid nishan tak bhi nahi zulmat ka
Mein bhi aabad hoon is nur ki basti mein magae
Jal giya phir meri taqdir ka akhtar kyon kar?
Nur say dur hoon zulmat mein giraftar hoon mein
Kiyon siyah roz, siyah bakht, siyah kar hoon mein?
Mein yeh kehta tha keh awaz kahein say aa-e
Bamay gardon say ya sehnay zamin say aa-e
Hay tiray nur say wabastah miri bud-o-namud
Baghban hay tiri hasti pay gulzaray wahud
Anjuman husn ki hay ttu, titi taswir hoon mein
Ishq ka ttu hay sahifah, tiri tafsir hoon mein
Meray bigrray huway kaamon ko banaya ttu nay
Baar jo mujh say nah otha woh othaya ttu nay
Nur-e-khurshid ki mohtaj hay hasti meri
Oor bay-minnatay khurshid chamak hay teri
Ho nah khurshid tto wiran ho gulistan mera
Manzilay aysh ja naam ho zindan mera
Ah, ay razay ayan kay nah samajhnay walay!
Halqa-a daamay tamannah mein nah olajhnay walay
Haye ghaflat keh tiri aankh hay pabanday majaz
Naz zeba tha tujhay, ttu hay magar garmay niyaz
Ttu agar apni haqiqat say khabardar rahay
Nah siya roz rahay phir nah siyah kar rahay

Subscribe to:
Posts (Atom)
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.