- BACHON KAY LIYE -
Tehni pay kisi shajar ki tanha
bulbul tha koi odas betha
Kehta tha keh rat sar pay aa-e
Orrnay chugnay mein din guzara
Pohanchun kis tarha ashiyan tak
Har cheez pay cha kiya andhera
Sun kay bulbul ki ahozari
Jugnu koi pass hi say bola
Hazir hoon madad ko jan-o-dil say
Kirra ho agarcheh mein zara sa
Kiya gham hay jo rat hay andheri
Mein rah mein roshni karon ga
Allah nay di hay mujh ko mish-al
Chamka kay mujhay diya banaya
Hein log wohi jahan mein achay
Aatay hein jo kaam dusron kay
Urdu Poem: Allama Iqbal: Bachay Ki Dua
- BACHON KAY LIYE -
Lab pay aati hay dua ban kay tamanna meri
Zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri
Dur dunya ka miray dam say andhera ho ja-a
Har jagah meray chamaknay say ojala ho ja-a
Ho miray dam say yunhi meray watan ki zinat
Jis tarha phol say hoti hay chaman ki zinat
Zindagi ho miri parwanay ki surat yarabb
Ilm ki shamma say ho mujh ko muhabbat yarabb!
Ho mira kaam gharibon ki himayat karna
Dardmandon say zaifon say muhabbat karna
Miray Allah! bura-e say bachana mujh ko
Nek jo rah ho, os rah pay chalana mujh ko

Urdu Poem: Allama Iqbal: Aik Ga-a Oor Bakri
- BACHON KAY LIYE -
Ik charagah hari bhari thi kahein
Thi sarapa bahar jis ki zamin
Kia saman os bahar ka ho biyan
Har taraf saaf nadyaan thein rawan
Thay anaron kay beshumar darakht
Oor pippal kay saya-daar darakht
Thandi thandi hawaein aati thein
Tairon ki sadaien aati thein
Kisi naddi kay pass ik bakri
Chartay chartay kahein say aa nikli
Jab theher kar idhar odhar dekha
Pass ik ga-a ko kharay paya
Pehlay jhuk kar ossay salam kiya
Phir saliqay say yoon kalam kiya
Kyon barri bee! Mazaj kesay hein
Ga-a boli keh khair achchay hein
Kat rahi hay buri bhali apni
Hay musibat mein zindagi apni
Jan par aa bani hay, kiya kahiye
apni qismat buri hay, kiya kahiye
Dekhti hoon Khuda ki shan ko mein
Ro rahi hoon buron ki jan ko mein
Zor chalta nahi gharibon ka
Pesh aaya likha nasibon ka
Admi say koi bhala na karay
Iis say pala parray, Khuda na karay
Duudh kam doon tto burrburrata hay
Hoon jo dubli tto bech khata hay
Hatkandon say ghulam karta hay
Kin farebon say raam karta hay
Iis kay bachon ko palti hoon mein
Duudh say jan dalti hoon mein
Badlay neki kay yeh bura-e hay
Meray Allah! tiri duha-e hay
Sun kay bakri yeh majra sara
Boli, aysa gila nahi acha
Baat sachi hay bemaza lagti
Mein kahon gi magar Khuda lagti
Yeh Charagah, yeh thandi thandi hawa
Yeh hari ghas oor yeh saya
Aysi khushyan hamein nasibb kahan
Yeh kahan, bezuban gharib kahan!
Yeh mazay admi kay dam say hein
Lutf saray iisi kay dam say hein
Iis kay dam say hay apni aabadi
Qayd han ko bhali keh aazadi
So tarha ka banon mein hay khatka
Waan ki guzran say bacha-a Khuda
Ham pay ehsan hay barra os ka
Ham ko zeba nahi gila os ka
Qadar aaram ki agar samjho
Admi ka kabhi gila na karo
Ga-a sun ka yeh baat sarma-e
Admi kay gilay say pishta-e
Dil mein parkha bhala bura os nay
Oor kuch soch kar kaha os nay
Yoon tto choti hay zaat barki ki
Dil ko lagti hay baat bakri ki
Ik charagah hari bhari thi kahein
Thi sarapa bahar jis ki zamin
Kia saman os bahar ka ho biyan
Har taraf saaf nadyaan thein rawan
Thay anaron kay beshumar darakht
Oor pippal kay saya-daar darakht
Thandi thandi hawaein aati thein
Tairon ki sadaien aati thein
Kisi naddi kay pass ik bakri
Chartay chartay kahein say aa nikli
Jab theher kar idhar odhar dekha
Pass ik ga-a ko kharay paya
Pehlay jhuk kar ossay salam kiya
Phir saliqay say yoon kalam kiya
Kyon barri bee! Mazaj kesay hein
Ga-a boli keh khair achchay hein
Kat rahi hay buri bhali apni
Hay musibat mein zindagi apni
Jan par aa bani hay, kiya kahiye
apni qismat buri hay, kiya kahiye
Dekhti hoon Khuda ki shan ko mein
Ro rahi hoon buron ki jan ko mein
Zor chalta nahi gharibon ka
Pesh aaya likha nasibon ka
Admi say koi bhala na karay
Iis say pala parray, Khuda na karay
Duudh kam doon tto burrburrata hay
Hoon jo dubli tto bech khata hay
Hatkandon say ghulam karta hay
Kin farebon say raam karta hay
Iis kay bachon ko palti hoon mein
Duudh say jan dalti hoon mein
Badlay neki kay yeh bura-e hay
Meray Allah! tiri duha-e hay
Sun kay bakri yeh majra sara
Boli, aysa gila nahi acha
Baat sachi hay bemaza lagti
Mein kahon gi magar Khuda lagti
Yeh Charagah, yeh thandi thandi hawa
Yeh hari ghas oor yeh saya
Aysi khushyan hamein nasibb kahan
Yeh kahan, bezuban gharib kahan!
Yeh mazay admi kay dam say hein
Lutf saray iisi kay dam say hein
Iis kay dam say hay apni aabadi
Qayd han ko bhali keh aazadi
So tarha ka banon mein hay khatka
Waan ki guzran say bacha-a Khuda
Ham pay ehsan hay barra os ka
Ham ko zeba nahi gila os ka
Qadar aaram ki agar samjho
Admi ka kabhi gila na karo
Ga-a sun ka yeh baat sarma-e
Admi kay gilay say pishta-e
Dil mein parkha bhala bura os nay
Oor kuch soch kar kaha os nay
Yoon tto choti hay zaat barki ki
Dil ko lagti hay baat bakri ki
Urdu Poem: Allama Iqbal: Aik Pahar Oor Gulehri
- BACHON KAY LIYE -
Koi pahar yeh kehta tha ik gulehri say
Tujhay ho sharam tto pani mein ja kay duub maray
Zara si cheez hay, os par gharur, kiya kehna
Yeh aqal oor yeh samajh, yeh shaur, kiya kehna!
Khuda ki shan hay na-cheez cheez ban bethein
Jo bay-shaur hoon yoon ba-tamiz ban bethein
Tiri bisat hay kiya meri shan kay aagay
Zamin hay past miri aan baan kay aagay
Jo baat mujh mein hay, tujh ko woh hay nasibb kahan
Bhala pahar kahan! Janwar gharibb kahan!
Kaha yeh sun kar gulehri nay, munh sanbhal zara
Yeh kachchi batein hay dil say in-hein nikal zara
Jo mein bari nahi teri tarha tto kiya parwah
NAhi hay ttu bhi tto akhir miri tarha chota
Har aik cheez say peda Khuda ki qudrat hay
Koi barra, koi chota, yeh os ki hikmat hay
Barra jahan mein tujh ko bana diya os nay
Mujhay darakht pay charrna sikha diya os nay
Qadam othanay ki taqat nahi zara tujh mein
Niri barra-e hay, khubi hay oor kiya tujh mein
Jo ttu barra hay tto mujh sa huna dikha mujh ko
Yeh chaliya hi zara ttorr kar dikha mujh ko
Nahi hay cheez nakammi koi zamanay mein
Koi bura nahi qudrat kay karkhanay mein

Subscribe to:
Posts (Atom)
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.