- BACHON KAY LIYE -
Koi pahar yeh kehta tha ik gulehri say
Tujhay ho sharam tto pani mein ja kay duub maray
Zara si cheez hay, os par gharur, kiya kehna
Yeh aqal oor yeh samajh, yeh shaur, kiya kehna!
Khuda ki shan hay na-cheez cheez ban bethein
Jo bay-shaur hoon yoon ba-tamiz ban bethein
Tiri bisat hay kiya meri shan kay aagay
Zamin hay past miri aan baan kay aagay
Jo baat mujh mein hay, tujh ko woh hay nasibb kahan
Bhala pahar kahan! Janwar gharibb kahan!
Kaha yeh sun kar gulehri nay, munh sanbhal zara
Yeh kachchi batein hay dil say in-hein nikal zara
Jo mein bari nahi teri tarha tto kiya parwah
NAhi hay ttu bhi tto akhir miri tarha chota
Har aik cheez say peda Khuda ki qudrat hay
Koi barra, koi chota, yeh os ki hikmat hay
Barra jahan mein tujh ko bana diya os nay
Mujhay darakht pay charrna sikha diya os nay
Qadam othanay ki taqat nahi zara tujh mein
Niri barra-e hay, khubi hay oor kiya tujh mein
Jo ttu barra hay tto mujh sa huna dikha mujh ko
Yeh chaliya hi zara ttorr kar dikha mujh ko
Nahi hay cheez nakammi koi zamanay mein
Koi bura nahi qudrat kay karkhanay mein
This Blog Contains:
English Poems, Urdu Poems, Love Poems, Famous Poems, Friendship Poems, Sad Poems, Funny Poems, Birthday Poems, Wedding Poems, Death Poems, Children Poems, Short Poems, Family Poems, Romantic Poems, Nature Poems, Spiritual Poems, Religious Poems, Old Poems, New Poems, and All The Poems.